Computer ho ya Mobile, agar usme koi bhi software naa ho to wo sirf ek dabba banke reh jata hai, agar hame usme kuch bhi karna extra kaam karna hai to uske liye hame usme Software ko Install karna hota hai.top 10 sites to download free software
top 10 websites to download pc software , top 10 sites to download free software
Computer me hame kuch bhi kaam karna ho uske liye software mil jata hai jisko hum internet se Download karke apne Computer me Install kar sakte hai.. par jo sabse badi pareshani hamare samne aati hai wo ye ki kis website se Software Download kare.. jisse hamare computer me Virus naa aaye.
Internet par wese to bahut se Software free me mil jate hai, par kaha jata hai naa ki Real me kuch bhi free nahi hota, agar koi kuch free de rahe hai to wo hum se kisi or tarike se paise kama rahe hai.
Agar koi Trusted website nahi hai jisse hum kuch download kar rahe hai to ho sakta hai software ke sath kuch virus hamare computer me download ho jaye.. isliye iss baat ka dhiyan to rakhna hi hai ki sirf Trusted Download Website ka use karna hai.. or me abhi aapko aise hi Top 10 Best Free Software Download Websites ke ware me batane wala hu.top 10 sites to download free software
Also Read..
Top 5 Best Free Video Background Remover Software
Top 10 Best Website for Free Software Download https://www.mediahindi.com
Top 10 Best Website for Free Software Download https://www.mediahindi.com
1. Ninite
Ninite ek safe website hai Free Software ko download karne ke liye jaha hame Sabhi Software ki category wise list mil jati hai.
Software ko Download karne ke liye hame simple Ninite ka Install Download karna padta hai, jiske baad jo bhi software hame install karna hai wo direct hamare computer me install ho kata hai.
Agar ek sath hame bahut se software install karna hai to unka package bhi Download kar sakte hai, jisse ek hi click me sabhi software Download hokar Install ho jate hai.
Agar hame kisi or ke sath Softwares ko share karna hai to uske liye bhi ye ek accha tarika hai, kyu ki ek hi package me sabhi software aa jate hai.
Ninite
2. Softpedia
Softpedia ek all in one website hai jis par ham software se related News bhi padh sakte hai..
Site par Free Software Download ka bhi ek section hai, jisme lagbhag 13,50,000+ files hai jo ham download kar sakte hai.
Softpedia
3. MajorGeeks
ye ek Torrent website hai, jiska design bhi thoda old lagta hai, par bahut fast hai jo Pichle 15 saal se Best Download website list me aati hai.
Aap yaha se lagbhag sabhi Freeware Files ko Download kar sakte hai jo Virus Free or safe hai.
MajorGeeks
4. FileHippo
FileHippo ek simple or best website hai jaha se aap kisi bhi software ka new version download kar sakte hai bina kisi risk ke.
Jese Normally dekha jata hai jitni bhi free Software website hoti hai unpar bahut sare Popup ads aate hai jinse wo paise kamate hai, par usse user ko pareshani bahut hoti hai or bahut war to ye hi samaj nahi aata ki ad konsa hai or Download button konsi, par Filehippo me aisa nahi hai. is par koi bhi aise pareshan karne wale ads nahi aate.
FileHippo
5. Filepuma
Jese hi aap Filepuma ko open karege to aapko aisa lag sakta hai ki ye to FileHippo website ki copy hai par jab aap isko thoda dhyan de dekhenge to aapko pata chalega ki ye website usse bhi jada aasan hai use karne me.
Filepuma par aap apne jarurat ke sabhi chote bade software ko free me download kar sakte hai or jo muje iss website ki ek baat pasand aai wo ye ki ispar sabhi software ko category me rakha gaya hai jisse hame apne jarurat ke software ko search karne me aasani hoti hai.
Filepuma
6. Download Crew
Software iis website se Download karne me aapko thodi dikkat aa sakti hai, kyu ki iska interface itna aasan nahi hai jitna dusre Software Download website ka hai.. par iis website ki khas baat ye hai ki sabhi software ka ek chota sa review bhi aapko yaha mil jayega jisko read karke aap samaj sakte hai ki wo software kesa hai.
Iss website se aap sabhi tarah ke Software Program Download kar sakte hai jese Windows, Mac, Linux, Android, and iOS etc.
Download Crew
7. File Horse
File Horse ek simple or easy website hai Software ko Free me download karne ke liye jis par aap Windows computer ke liye popular software download kar sakte hai.
Iss site par aapko bahut bada software collection nahi milega, par jitne bhi popular software hai unko aap aasani se download kar sakte hai.
8. SnapFiles
Best Software Download karna kabhi kabhi muskil padta hai kyu ki samaj hi nahi aata konsa software accha hai, par iss website ki help se ham aasani se Quality Software ko download kar sakte hai.
Dusri website ki trha yaha se bhi software download to kar hi sakte hai, sath hi hame Freeware Pick section bhi SnapFiles par milta hai, jispar hum daily kuch naye software me ware me jaan sakte hai or Download kar sakte hai.
9. Softonic
Softonic ek popular website hai Free Software Download karne ke liye jiski design bhi badiya hai or aasani se hum isse software without virus ke download kar sakte hai.
Iss website par hame sabhi platform ke software free Download karne ke liye mil jate hai jese Windows, Linux, Mac, iOS, Android, etc.
Softonic
10. Sourceforge
Sourceforge website par hame bahut sare software ko download karne ke liye mil jate hai, ussi ke sath jo website ka material de
ummid hai aapko meri duara share Free Software website se help milegi, or aap kisi bekar website ki jagha secure or trusted website se software download karenge or apne computer me virus aane se bacha payenge.
Aapki sabse pasandida website konsi hai software ko download karne ke liye wo comment me humse bhi jarur share kare. or agar koi aapka dost kisi software ko download karna chahta hai to aap unse ye websites share kar sakte hai.